Thursday 9 August, 2007

Katl ki shehnai ki awaaz dhoondhta he..
jala ke parinde ko uski aah ka ehsaas dhoodhta hai?
khuda ki sitamgari kaafi nahi thi,
jo din raat apne janaze ka samma dhoondhta hai?

Dhoondhna he to suraj ki rooh dhoondh kafir
kyun jale hue sitoron ki raakh dhoondhta hai?
wahan nasoor aansuon me bhi aas dhoondhte hain
tu kyun bewajah ranjishon ke saaz dhoondhta he ?

Mat dhoondh, ki dhoondhne ne se ek katra aab nahi milta,
to tu kis ummeed se sookhe me sailaab dhoondhta he ?

main kisi diljale ko kya rasmo- saaz padhaun?
meri naav ka khivaiya khudi surrakh dhoondhta hai
ees tees ka marham , din- raat ,
benakab ho , sare bazzar dhoondhta hai.